1 / 9: Bahadur Shah Zafar
bhari hai dil mein jo hasrat
kahoon to kis se kahoon
sune hai kaun museebat
kahoon to kis se kahoon
the longings of my heart
with whom shall i share
who listens to my travails
to whom shall i recount
Bahadur Shah Zafar (9)
Theme: Loneliness, Solitude & Grief (101)
0
0
0
18
2 / 9: Bahadur Shah Zafar
chaahiye us ke tasavvur hi se
naqsha kheenchna
dekh kar tasveer ko
tasveer phir kheenchi to kya
one show draw a portrait
from just one's imagination
if a picture is drawn by
looking at another...what's the point?
Bahadur Shah Zafar (9)
Theme: Creativity, Philosophy & Enlightenment (35)
0
0
1
3.8K
3 / 9: Bahadur Shah Zafar
na dekha wo kahin jalwa
jo dekha khaana-e-dil mein
bahut masjid mein sar maara
bahut sa DhoonDa butkhana
nowhere else have i seen such splendor
that i have in the confines of my heart
though i broke my head in many mosques
and searched endlessly in the temples
Bahadur Shah Zafar (9)
1
0
0
4.5K
4 / 9: Bahadur Shah Zafar
le gaya cheen ke kaun
aaj tera sabr-o-qaraar
beqaraari tujhe ai dil
kabhi aisi to na thi
who has snatched away
your peace and calm
oh restless heart…
you were never like this
Bahadur Shah Zafar (9)
1
0
0
3.7K
5 / 9: Bahadur Shah Zafar
tum ne kiya na yaad
kabhi bhool kar hamein
hum ne tumhaari yaad mein
sab kuchh bhula diya
even by mistake, you did not
ever think of me
but i have forsaken everything
just lost in your thoughts
Bahadur Shah Zafar (9)
Theme: Heart, Mind & Memory (61)
0
0
2
4.9K
6 / 9: Bahadur Shah Zafar
na dunga dil use main
ye hamesha kahta tha
vo aaj le hi gayaa, aur
'zafar' se kuchh na hua
i will not give her my heart,
i kept telling myself
she walked away with it today,
and Zafar was helpless
Bahadur Shah Zafar (9)
always
Theme: Beauty, Charm & Union (92)
1
0
1
2.3K
7 / 9: Bahadur Shah Zafar
umr-e-daraaz maang ke
laaye they chaar din
do aarzoo mein kaT gaye
do intezaar mein
seeking a long life
i got myself four days
two spent in wanting
and two in waiting
Bahadur Shah Zafar (9)
Theme: Life, Living & Dying (114)
1
0
1
1.7K
8 / 9: Bahadur Shah Zafar
kitna hai badnaseeb 'zafar’
dafn ke liye
do gaz zameen bhi na mili
koo-e-yaar mein
how wretched is your fate, ‘zafar’
that for your burial
you couldn’t get two yards
in the lane (land) of the beloved
Bahadur Shah Zafar (9)
Theme: Life, Living & Dying (114)
0
0
1
4.5K
9 / 9: Bahadur Shah Zafar
subh ke takht-nasheen
shaam ke mujrim tahre
hum ne pal bhar mein
naseebon ko badalte dekha
those seated on the throne in the morn
were declared criminals by dusk
we have in seconds
seen fortunes change wildly
Bahadur Shah Zafar (9)
0
0
0
5.0K
427 Shaayars
Urdu Poetry, Simply Told
classic Urdu shers with simple translations, poetic insights, and mini-dictionaries for every poetry lover...
A heartfelt collection of Classic Urdu shers...
Alfaaz Ki Mehfil is a curated space for timeless poetry celebrating words, emotions, and the enduring beauty of expression. From classic Urdu couplets to modern reflections, it brings together generations of poetic voices that speak of love, longing, hope, and the human soul.