25 Urdu ash'ar / shaayari (shers, couplets) containing the word:
1 / 25: khuda
gham mujhe, hasrat mujhe
vahshat mujhe, saudaa mujhe
ek dil de kar khuda ne
de diya kya kya mujhe
sorrow, unfulfilled desires
craziness, passion, and frenzy
by giving me a heart, o god,
what all have you set me up with?
0
0
0
2.5K
2 / 25: khuda
zaahid, sharaab peene de
masjid mein baith kar
ya wo jagah bata de
jahaan par khuda na ho
oh priest, allow me to drink
sitting here in the mosque
or, show me a place
where there is no god
0
0
0
5.0K
3 / 25: khuda
haq mujhe
baatil aashna na kare
main buton se phiroon
khuda na kare
may reality not
lead me to falsehood
by god, may i not
bow before the idols
0
0
0
5
4 / 25: khuda
yeh nanhi si jaan
yeh nanhi si muskurahat
khuda ki rehmat hai
khuda ki inaayat hai
this tiny life
this hint of a smile
is god's mercy
and the gift of providence
Anonymous
tiny, small, miniscule
life, strength / beloved
smile
god
mercy, kindness
blessing, courtesy
Theme: Friends, Family & Community (120)
0
0
0
2.6K
5 / 25: khuda
har ek daur ka mazhab
naya khuda laaya
karen to hum bhi magar
kis khuda ki baat karen
each era brought in
a new religion, a new god
if we were to chat
about which god shall we talk?
Theme: Religion, Reason & Tradition (63)
0
0
1
4.5K
6 / 25: khuda
mera zameer bahut hai
mujhe sazaa ke liye
tu dost hai to naseehat
na kar khuda ke liye
my conscience is enough
for my punishment
if you are my friend,
for god’s sake, don’t give me advice
1
0
0
4.7K
7 / 25: khuda
rahne de
apni bandagi, zaahid
bemohabbat
khuda nahin milta
keep your worship to yourself
o priest
without love
god can’t be got
Theme: Love, Passion and Longing (108)
0
0
1
3.6K
8 / 25: khuda
gunahgaaron mein shaamil hain
gunahon se naheen waaqif
saza ko jaante hain hum
khuda jaane khataa kya hai
we are counted among the sinners
not aware what the sins are
we know what the punishment is
god only knows what the crime is
sinners
tobepresent
aware of, familiar
punishment
know
god
mistake
Theme: Friends, Family & Community (120)
0
0
0
68
9 / 25: khuda
aankhen khuda ne di hain
to dekhenge husn-e-yaar
kab tak naqaab
rukh se uThaayi na jaayegi
god has given us eyes
to view the beauty of the beloved
how long will the veil
not be lifted from the face
0
0
0
2.1K
10 / 25: khuda
yaad-e-butaan naheen ke
khayaal-e-khuda naheen
sab kuchh bashar ki dil mein hai
aye shaikh, kya nahin?
no memory of idols
nor any thought of god
all is within the human heart
what is not there, o preacher?
0
0
0
17
11 / 25: khuda
wo waqt guzar gaya
jab mujhe teri aarzoo thi
ab tu khuda bhi ban jaaye to
main sajda na karoon
that time has passed
when i pined for you
now, even if you become god
i will not bow to you
Anonymous
1
0
0
2.6K
12 / 25: khuda
go haram ke raaste se
woh pahunch gaye khuda tak
teri raahguzar se jaate to
kuchh aur baat hoti
though he found god
through the holy places
had he taken your path, it would've
turned out a different story
Theme: Religion, Reason & Tradition (63)
0
0
0
47
13 / 25: khuda
jo bhi de de vo karam se
vahi le le 'naadir'
munh se maango to
khuda aur khafa hota hai
whatever is given to you in kindness
you accept jus that ‘naadir’
if you were to ask for more
god will get even more angry
Theme: Religion, Reason & Tradition (63)
0
0
4
2.3K
14 / 25: khuda
khuda hi jaane 'yagana'
main kaun huun kya huun
khud apni zaat pe shak
dil mein aaye hain kya kya
only god knows, yagana,
who i am and what i am
many doubts have crept into my heart
about my very self
Theme: Creativity, Philosophy & Enlightenment (36)
0
0
0
3
15 / 25: khuda
begaangi-e-khalq se
bedil na ho, ghalib
koyi nahi tera, to meri jaan,
khuda hai
with people’s indifference
don’t be dismayed, ghalib
if in the world you have none,
so be it, there is god for you
god
indifference, estranged
creation, people
disheartened, dismayed
Theme: Religion, Reason & Tradition (63)
0
0
0
2.4K
16 / 25: khuda
aashiqi se
milegaa, aye zaahid
bandagi se
khuda nahin milta
through love,
you will find, o priest
through worship,
you won't find god
Theme: Religion, Reason & Tradition (63)
0
0
1
2.5K
17 / 25: khuda
kis din tum ne rakkha tha
hinaai haath seene par
khuda shaahid hai…ThanDak
aaj tak hum dil mein paate hain
that day you placed your
henna-ed hand on my chest
god as my witness, to this day
i find the comfort in my heart
0
0
2
2.9K
18 / 25: khuda
na itna zulm kar ai chaandni
bahr-e-khuda, chhup ja
tujhe dekhe se yaad aata hai
mujh ko mahtaab apnaa
do not be cruel, o moonlight
for god's sake, hide away
when i see you, i recall
the moon that was mine
0
0
1
22
19 / 25: khuda
taareef us khuda ki
jis ne jahaan banaayi
kaisi zameen banaayi
kya aasmaan banaayi
praise be to that god
that made this universe
what a wonderful earth she made
and what a stunning sky
0
0
1
39
20 / 25: khuda
khudi ko kar buland itna
ke har taqdeer se pehle
khuda bande se ye pooche
bata teri raza kya hai
strengthen yourself so much
that before every turn of fate
god asks of his child
tell me, what is your wish?
0
0
0
3.3K
21 / 25: khuda
khuda tujhe kisi
toofan se aashna kar de
ki tere bahr ki maujon
mein izteraab naheen
may god familiarize
you with some storms
the waves of your sea
seem a little too calm
0
0
0
2.9K
22 / 25: khuda
lazzat-e-deed khuda jaane
kahaan le jaaye
aankh hoti hai to
hota naheen qaaboo dil par
god only knows where the
joy of seeing you might lead me
once the eyes behold
the heart no longer listens
0
0
0
37
23 / 25: khuda
tum se pahle wo jo ek shakhs
yahan takht-nasheen tha
us ko bhi apne khuda hone pe
itna hi yaqeen tha
before you another man
was the ruling king here
who was just as convinced
that he was god himself
2009: Nishan-e-Imtiaz
person, individual
god
before
faith, belief
ruling emperor
0
0
1
1.7K
24 / 25: khuda
darwaaza go khula hai
ijaabat ka, par 'hasan'
ham kis kis aarzoo ko
khuda se talab karein
the door to divine approval
maybe open, 'hasan'
bu which of my countless wishes
should i ask be granted?
0
0
1
16
25 / 25: khuda
basant aayi hai, mauj-e-rang-e-gul hai
josh-e-sahbaa hai
khuda ke fazl se aish-o-tarab ki
ab kami kya hai?
spring is here, tide of colorful blossoms
and wine flowing with zeal
with god's grace, what is left
wanting in the celebration?
0
0
0
14
424 Shaayars
Urdu Poetry, Simply Told
classic Urdu shers with simple translations, poetic insights, and mini-dictionaries for every poetry lover...
A heartfelt collection of Classic Urdu shers...
Alfaaz Ki Mehfil is a curated space for timeless poetry celebrating words, emotions, and the enduring beauty of expression. From classic Urdu couplets to modern reflections, it brings together generations of poetic voices that speak of love, longing, hope, and the human soul.
Quick Links