108 Urdu ash'ar / shaayari (shers, couplets) on the theme:
bole vo muskuraa ke
bahut iltijaa ke baad
ji to ye chaahta hai
teri maan jaaiye
she said with a smile
after much pleading
my heart now desires
to yield to you
0
0
2
0
yaaro hamaara haal
sajan siin bayaan karo
aisii tarah karo ki
use meherbaan karo
o friends, relate my plight
to my beloved
but narrate it so
she is moved to mercy for me
0
0
0
29
aaj tujh yaad ne
aye dilbar-e-shireen-harakat
aah ko dil ke upar
tesha-e-farhaad kiya
your memory today
oh, my sweet-gliding love
turned my sigh into
farhaad's axe upon my heart
0
0
0
41
aye noor-e-jaan-o-deeda
tere intezaar mein
muddat huyi palak se palak
aashna naheen
o radiance of my soul and sight,
while longing for you
my eyes haven't closed
in ages
0
0
0
35
aarzoo-e-chashma-e-kausar
naheen
tishna-lab huun
sharbat-e-deedaar ka
i do not long for
the heavenly fountain of kausar
my lips are parched for
the sweet nectar of your sight
0
0
1
39
dil-e-ushshaaq
kyun na ho raushan
jab khayaal-e-sanam
charaagh hua
why wouldn't
the lovers' hearts be radiant
when the thought of the beloved
lights up like a flame
0
0
0
23
visaal-e-yaar se
doonaa hua ishq
maraz baDhtaa gaya
juun juun dawa ki
my love doubled after
the union with the beloved
with every dose of the cure
my illness grew
0
0
0
8
aur ishrat ki tamanna
kya karen
saamne tu ho
tujhe dekha karen
why should i yearn
for other joys?
you in front of me
and me looking at you
0
0
1
11
kuchh to khayaal kar
meri umr-e-daraaz ka
sadiyon guzar gayi hain
tere intezaar mein
show some concern
for this endless life of mine
ages have gone by
just waiting for you
0
0
1
40
dard-e-sar hai
khumaar se mujh ko
jald le kar sharaab
aa saaqi
the intoxication has
left me with a hangover
quickly, o wine-pourer,
fetch me another drink
0
0
0
43
daregh chashm-e-karam se
na rakh ki aye zaalim
kare hai dil ko mere
teri yak nazar mahzooz
don't me miserly with your
merciful gaze, o cruel one
just one glance from you
brings joy to my heart
0
0
1
46
hum jis pe mar rahe hain
woh hai baat hi kuchh aur
aalam mein tujh se laakh sahi
tu magar kahaan?
the one i die for
is so unique and special
there maybe millions like you
but how can you even compare?
0
0
1
28
gulaabi gaal par kuchh rang
mujh ko bhi jamaane do
manaane do mujhe bhi jaan-e-mann
tyohaar holi mein
let me also smear a little color
on your rosy cheek
let me, my beloved,
celebrate this Holi with you
0
0
0
22
lazzat-e-deed khuda jaane
kahaan le jaaye
aankh hoti hai to
hota naheen qaaboo dil par
god only knows where the
joy of seeing you might lead me
once the eyes behold
the heart no longer listens
0
0
0
37
na jee bhar ke dekha
na kuchh baat kee
baDi aarzoo thee
mulaaqaat kee
i neither saw her to my heart’s content
nor was i able to get a word in
i longed deeply
for a meeting
0
0
2
38
nigaah-e-shauq sar-e-bazm
behijaab na ho
woh bekhabar hi sahi
itne bekhabar bhi naheen
let the gaze of desire remain
veiled in the heart of the gathering
even if (s)he seems unaware
(s)he is not that unaware
Anonymous
0
0
1
44
jaanne vaale maanne vaalon se
afzal hai dhyaan rahe
majnoon mat ban, hosh mein rah
aur phir laila ka bhed samajh
superior to the ones accepts is
the one who is aware and mindful
don't be a majnu, stay mindful
and figure out the secrets of laila
0
0
0
50
is aalam-e-veeraan mein
kya anjuman-aaraai
do roz ki mehfil hai
ik umr ki tanhaayi
what festivity is this
in a ruined realm
two days of celebration
a lifetime of loneliness
0
0
1
68
mere humnafas, mere humnava
mujhe dost ban ke dagha na de
main hoon dard-e-ishq se jaan-ba-lab
mujhe zindagi ki dua na de
oh my companion, my soulmate
deceive me not posing as a friend
i am already dying from the pain of love
don't curse me more with prayer for life
0
0
1
113
aur kya dekhne ko
baaqi hai
aap se dil laga ke
dekh liya
what else is
left to be seen
giving my heart to you
i have seen it all
0
0
0
32
main chahta tha ki
us ko gulaab pesh karuun
vo khud gulaab tha
us ko gulaab kya deta
i wished to present
her with a rose
when she herself is a rose
what rose can i possibly offer her
0
0
1
73
kaun kahta hai
mohabbat ki zabaan hoti hai
ye haqeeqat to
nigaahon se bayaan hoti hai
who says that love
is expressed through words
the truth is it is
signaled through the eyes
0
0
0
116
jazba-e-ishq salaamat
hai to, insha allah
kacche-dhaage se
chale aayenge sarkaar bandhe
if the passion of love
remains intact, insha allah
the beloved will come
bound by even a fragile thread
0
0
0
130
aankh ki ye ek hasrat thi
ki bas poori hui
aansuon mein bheeg jaane ki
havas poori hui
the eye held a longing
that is now fulfilled
the craving to bathe in tears
is now quenched
0
0
1
131
na koyi vaada, na koyi yaqeen
na koyi ummeed
magar humein to
tera intezaar karna tha
no promise, no assurance
no hope
yet, i had to
keep waiting for you
0
0
2
85
main ne har baar tujhse milte waqt
tujhse milne ki aarzoo ki hai
tere jaane ke baad bhi main ne
teri khushbu se guftagu ki hai
whenever i met you
i yearned to meet you again
even after you left, i spoke
with your lingering fragrance
0
0
1
89
jalaaye rakkha hai main ne bhi
ik charaagh-e-ummeed
tumhaara dar bhi
muqaffal naheen hua ab tak
i too have kept lit
a lamp of hope
your door too has
not yet been locked
0
0
0
56
tum jo aaye ho to
shakl-e-dar-o-deewaar hai aur
kitni rangeen
meri shaam hui jaati hai
when you arrive, the very appearance
of the walls and doors changes
how colorful
my evening becomes
0
0
0
110
tera milna
khushi ki baat sahi
tujh se mil kar
udhaas rehta huun
meeting you
is surely a matter of joy
but after meeting you
i remain sad
0
0
0
80
main baagh mein huun
talib-e-deedar kisi ka
gul par hai nazar
dhyaan mein rukhsar kisi ka
i am in the garden
longing for someone's sight
my gaze is on the flower
but someone's face in my focus
0
0
1
100
na khushi achchi hai, aye dil
na malaal achcha hai
yaar jis haal me rakhe
wohi haal achcha hai
neither happiness is good, o heart,
nor is sadness
the state my beloved leaves me in
that state is good
0
0
0
66
hum teri yaad se katra-ke
nikal jaate magar
raah mein phoolon ke lab
sayoon ke gesu aaye
i'd have avoided
your memory and moved on
along the way i came across
lips of flowers, tresses of breezes
Anonymous
0
0
0
101
dam na nikla yaar ki
na-meharbaani dekh kar
sakth hairaan huun main
apni sakth-jaani dekh kar
i didn't die
seeing my beloved's unkindness
i am so surprised
by my own resilience
moment, breath
turned out, came out
friend, beloved
unkindness
difficult, hard
agitated, surprised
toughness, resilience
0
0
1
120
maqaam, faiz, koyi raah mein
jacha hi naheen
jo koo-e-yaar se nikle
to soo-e-dar chale
no station, faiz, seemed
appealing along the way
those who left the beloved's lane
walked straight to the gallows
0
0
0
70
kabhi ishq karo aur phir dekho
is aag mein jalte rehne se
kabhi dil par aanch nahin aati
kabhi rang kharaab nahin hota
fall in love once...and see
why burning in this fire
never scorches the heart
never fades the colors
0
0
1
70
choD denge woh shahr
jis me tum na hoge
jis me tu hi na basega
phir woh dil hi toD denge
i will abandon that city
in which you are not there
if you don't reside in it
i will shatter that heart
0
0
1
4.5K
ye bhi ik rang hai
shaayad meri mehroomi ka
koyi hans de to
mohabbat ka gumaan hota hai
maybe this too is
a shade of my deprivation
that if anyone smiles
it seems to me like love
0
0
0
3.8K
tum hamaare
kisi tarah na hue
warna duniya mein
kya nahin hota
you were not mine
in any form
else, what couldn't
have happened in this world
0
0
3
4.8K
har ek raat ko
mahtaab dekhne ke liye
main jaagta huun
tera khwaab dekhne ke liye
to see the full moon
every night
i stay awake
to see you in my dream
0
0
1
3.2K
jahaan tera naqsh-e-qadam
dekhte hain
khayaabaan khayaabaan iram
dekhte hain
wherever i see
the prints of your footsteps
i see in that garden
the garden of paradise
2
0
4
3.7K
ek qayaamat hai jawaani
ek qayaamat hai shabaab
har tabassum ek toofan
har nazar ek inquilaab
youth is an apocalypse
so is youthful vigor
every smile a storm
every glance a revolution
bars
0
0
0
1.6K
jahaan mein hone ko, ai dost
yuun to sab hoga
tere labon pe mere lab hon
aisa kab hoga
in this world, my beloved,
everything can happen
but my lips on yours
when will that happen?
0
0
0
2.3K
ghair len mehfil mein
bosey jaam ke
hum rahen yoon
tishna-lab paigaam ke
while all others in the gathering
are enjoying their drinks
i remain thirsty for
news of you
1
0
6
4.7K
naamabar tu hi bata
tu ne to dekhe honge
kaise hote hain wo khat
jin ke jawaab aate hain
oh messenger, please tell me
for you must have seen
what kind of a letter
gets a reply from her
0
0
0
3.6K
ye zard zard chehra
ye laghari badan mein
kya ishq mein hua hai
ai ‘mir’ haal tera
your face so pale
and body so frail
what love is it, ‘mir’,
that got you to this state
1
0
0
3.3K
hazaar baar zamaana
idhar se guzra hai
nayi nayi si hai kuchh
teri raahguzar phir bhi
a thousand times has
the world passed by here
even then, your (love’s) path
seems new every time
1
0
0
1.9K
yaad aayi
vo pehli baarish
jab tujhe
ek nazar dekha tha
i remembered
those first showers
when i
caught a glimpse of you
0
0
1
2.7K
rahne de
apni bandagi, zaahid
bemohabbat
khuda nahin milta
keep your worship to yourself
o priest
without love
god can’t be got
0
0
1
3.6K
main phool chunti rahi
aur mujhe khabar na hui
wo shakhs aa ke
mere shahr se chala bhi gaya
i kept picking flowers
and i didn’t even know
my beloved visited the city
and left too
0
0
1
2.1K
math poochho, doston,
ki mera karobaar kya hai
muskuraahat ki choTi si dukaan hai
nafraton ke baazaar mein
ask me not, friends,
what i do for a living
i have a small shop of smiles
in the market of hatred
Anonymous
0
0
0
2.9K
khwaab hi khwaab
kab talak dekhun
kaash tujh ko bhi
ek jhalak dekhun
for how long can i
only dream and dream
if only i could get
a real glimpse of you
0
0
1
2.1K
haan woh nahin khuda-parast
jaao wo bewafa sahi
jis ko ho deen-o-dil azeez
us ki gali mein jaaye kyun
yes, she is not a believer
yes, she is unfaithful too
if you so value faith and heart
then why keep going to her street
street
believerinGod
unfaithful, disloyal
faith
precious, rare
0
0
1
4.7K
mandir gaye masjid gaye
piron faqiron se mile
ek us ko paane ke liye
kya kya kiya kya kya hua
visited many temples and mosques
met with priests and saints
just to attain my beloved
what all i did, what all happened
0
0
0
3.0K
ye bhi ek baat hai
adaavat ki
roza rakkha jo
ham ne daawat ki
another example
of her enmity
my beloved chose to fast
on the day i hosted a dinner
0
0
0
4.5K
kya ajab kaar-e-tahayyur hai
supurd-e-naar-e-ishq
ghar mein jo tha bach gaya
aur jo naheen tha jal gaya
what a work of wonder is
surrendering to the fire of love
those in the house were saved
those that weren’t got burnt
1
1
0
2.8K
ji DhoonDta hai phir wahi
fursat ke raat din
baiThe rahen
tasavvur-e-jaanan kiye hue
the heart keeps searching
for those days and nights of leisure
sitting...just enmeshed
with the thoughts of my beloved
0
0
1
1.9K
main kya kahun
kahan hai mohabbat kahan nahin
raag raag mein daudthi phirthi hai
nashtar liye hue
what can i say about
where love is and where it isn’t
it courses through every vein,
daggers drawn
1959: Sahitya Akademi
0
0
1
4.4K
karen kyaa
dil usii ko maangta hai
ye saala bhi
hatheela ho gaya hai
what to do
the heart seeks only that
this fellow too
has become so stubborn
1
0
1
3.6K
karne gaye the us se
taghaful ka hum gila
ki ek hi nigaah
ki bas khaak ho gaye
i had gone to complain
about being ignored
with just one glance
i turned into dust
0
0
0
4.8K
raat yun dil mein
teri khoyi hui yaad aayi
jaise veerane mein
chupke se bahaar aa jaaye
in the middle of the night
lost memories of you came to mind
like in a barren desert
silently, the spring arrived
0
0
0
2.8K
aahat si koyi aaye to
lagtaa hai ki tum ho
saaya koyi lahraaye to
lagtaa hai ki tum ho
if i hear a soft tread
it feels like it’s you
even if a shadow flutters
it feels like it’s you
0
0
2
2.9K
khilna kahin chupa bhi hai
chaahat ke phool ka
li ghar mein saans
aur gali tak mehak gayi
has the blooming of love’s flower
ever been discreet?
i smelled the flower at home
and the fragrance filled the streets
Anonymous
1
0
0
4.5K
minnat-e-chaara-saaz
kaun kare
dard jab
jaan-nawaaz ho jaaye
who will
plead with the healer
when pain
itself is life-giving
0
0
1
2.9K
ai 'fana' shukr hai aaj baad-e-fana
us ne rakh li mere pyar ki aabru
apne haathon se us ne meri qabr pe
chadar-e-gul chadhai…maza aa gaya
oh ‘fana’, am glad on this day of death
she came to respect and honor my love
with her own hands she spread flowers
on my graveyard…’twas so thrilling
0
0
0
4.1K
woh log bahut
khush-qismat thay
jo kaam ko
ishq samajhte thay
those are
most fortunate
who saw work
as their love
1
0
0
2.3K
izhaar-e-ishq us se
na karna tha ‘shefta’
ye kya kiya ki
dost ko dushman bana diya
you shouldn't have expressed
your love to her, shefta
look what you've done
turned a friend into an enemy
0
0
4
2.0K
tujh se sau baar
mil chuke lekin
tujh se milne ki
aarzoo hai wahi
i have met you
a hundred times, however…
the desire to meet you
remains just as ever
0
0
0
3.7K
ye to naheen ki tum sa
jahaan mein haseen naheen
is dil ko kya karoon
ye bahaltaa kaheen naheen
it isn’t that there aren’t in this world
others more beautiful than you
but what to do with this heart
it is not pacified anywhere else
0
0
1
3.7K
kya kya fareb dil ko
diye izteraab mein
un ki taraf se aap likhe
khat javaab mein
so restless, in what all ways
have you deceived yourself
on her behalf you wrote
replies to yourself
Anonymous
0
0
0
1.6K
abhi hain qurb ke
kuchh aur marhale baaqi
ke tujh ko pa ke hamen
phir teri tamanna hai
there are still stages
of closeness left
after attaining you
i still yearn for you
1
0
1
2.1K
saadgi toh hamaari zara dekhiye
aitbaar aapke vaade par kar liya
baat toh sirf ek raat ki thi magar
intezaar aapka umr bhar kar liya
please notice my naivete
i believed the promise you made
sure, it was mentioned one night
and i waited for you all my life
1
0
0
2.5K
mohabbat ko chhupaaye laakh
koyi chhup naheen sakti
ye woh afsaana hai jo
bekahe mashhoor hota hai
how much ever they hide love
none can really hide it
this is a story, unspoken,
becomes well-known
0
0
0
3.9K
kaise kahen ki tujh ko bhi
humse hai vaasta koyi
tu ne to hum se aaj tak
koyi gila naheen kiya
how can i say that
you have any connection with me
until this day, you have not
once found fault with me
1
0
1
2.1K
wo khaar khaar hai
shaakh-e-gulaab ki maanind
main zakhm zakhm huun
phir bhi gale lagaaun use
she is prickly, prickly
like the branch of a rose
i am wounded, wounded
but yet longing for an embrace
0
0
0
1.7K
aye fana, shukar hai aaj baad-e-fana
us ne rakh li mere pyaar ki aabru
apne haathon se usne meri qabr par
chaadar-e-gul chaDaayi maza aa gaya
oh fana, am thankful that after my death
she herself came to honor my love
with her own hands she spread flowers
on my grave…it was so delightful
0
0
2
4.8K
husn-o-jamaal-o-zeest ki
aaraaishen fuzool
ishq-o-junoon ki aag
jo dil mein jawaan na ho
the decorations and adornments
of beauty and living are useless
unless the fires of love and passion
are young and burning in the heart
1
0
1
2.3K
aap ka dil kya
mere dil se mila
maah-e-kaamil
sham-e-mehfil se mila
your heart
has met mine…like
the full moon shined on
the evening of the gathering
0
0
1
2.4K
anokhi waza hai
saare zamaane se niraale hai
ye aashiq kaun si basti ke
ya rab, rahne vaale hai
such strange mannerisms they have
so unique in this whole world
these lovers, oh god,
which city do they come from
1
0
5
2.9K
roz kahta hun ke
ab unko na dekhoonga kabhi
roz us kooche mein kuch
kaam nikal aata hai
i say every day that
i am never going to see her again
but every day i find i have
some work to do in her street
0
0
1
3.3K
na kar 'sauda' tu shikva
hum se dil ki beqaraari ka
mohabbat kis ko deti hai, miyaan,
aaraam sukoon duniya mein?
don't complain, sauda,
about your heart's restlessness
for whom has love given
peace and quiet in this world?
0
0
0
2.3K
mohabbat rang de jaati hai
jab dil dil se milta hai
magar masla to ye hai
dil baDi mushkil se milta hai
love makes life colorful
when two hearts meet
but what is difficult
is for two hearts to meet
0
0
0
2.6K
ishq par zor nahin
hai ye wo aatish, ghalib
ki lagaaye na lage
aur bujhaaye na bane
we have no power over love,
it is a burning fire, ghalib
lights up without being lit, and
once lit, can’t be extinguished
1
0
1
4.6K
agar baazi ishq ki baazi hai
jo chaho lagado dar kaisa
agar jeet gaye to kya kahna
haaray bhi to baazi maat nahi
if the gamble is of love
bet what you want, why fear
if you win, nothing like it
even if you lose, it is not a loss
0
0
1
2.6K
qaasid, payaam unka
na kuchh der abhi suna
rahne de
mahv-e-lazzat-e-zauq-e-khabar mujhe
oh messenger, do not yet
read me the note she sent
let me for a moment be immersed
in the joy that she wrote to me
1962: Padma Bhushan
0
0
0
4.2K
mere taaviz mein
jo kaagaz hai
us pe likha hai
mohabbat karna
on the piece of paper
in my lucky amulet
it is written…
just love
0
0
1
4.6K
yeh kehna tha un se
mohabbat hai mujh ko
yeh kehne mein mujh ko
zamaane lage hain
all i wanted to say was
that i am in love
for me to say this
took a lifetime
love
1
0
1
2.3K
tujhse milne ko
beqaraar tha dil
tujhse mil kar bhi
beqaraar raha
to meet you
my heart was restless
even after meeting you
my heart remained restless
restless
0
0
1
3.6K
chaand sa misra akela hai
mere kaaghaz par
chhat pe aa jaao
mera sher mukammal kar do
a moon-like verse is
alone on the paper
walk up to the roof
and help complete my poem
1
0
1
4.0K
woh log bahut
khush-qismat thay
jo kaam ko
ishq samajhte thay
those were
most fortunate
who saw work
as their love
0
0
1
4.1K
woh mile bhi to
ek jhijhak si rahi
kaash thoDi si
hum peeye hote
even when we met
a hesitation remained
if only i had been
drinking a little
0
0
1
2.8K
ishq ki choT ka kuchh
dil pe asar ho to sahi
dard kam ho ya zyaada ho
magar ho to sahi
let love’s hurt have
some effect on the heart
whether the pain is less or more
let there at least be some
0
0
4
2.8K
faasle aise bhi honge
ye kabhi socha na tha
saamne baiTha tha mere
aur woh mera na tha
i never imagined
such distances can exist too
he was right in front of me
and, yet, he was not mine
0
0
3
3.2K
ek ishq hai ki jis ki gali
ja raha huun main
aur dil ki dhaDkanon se bhi
ghabra raha huun main
there is this love
who’s street i am going to
and i am terrified
of my own heartbeat
0
0
0
4.4K
424 Shaayars
Urdu Poetry, Simply Told
classic Urdu shers with simple translations, poetic insights, and mini-dictionaries for every poetry lover...
A heartfelt collection of Classic Urdu shers...
Alfaaz Ki Mehfil is a curated space for timeless poetry celebrating words, emotions, and the enduring beauty of expression. From classic Urdu couplets to modern reflections, it brings together generations of poetic voices that speak of love, longing, hope, and the human soul.