26 Urdu ash'ar / shaayari (shers, couplets) containing the word:
1 / 26: nazar
zindagi jab bhi tere
bazm mein laati hai hamen
yeh zameen chaand se behtar
nazar aati hai hamen
when life brings me to
your gathering
this earth looks to me
more beautiful than the moon
0
0
1
4.3K
2 / 26: nazar
yaad aayi
vo pehli baarish
jab tujhe
ek nazar dekha tha
i remembered
those first showers
when i
caught a glimpse of you
Theme: Love, Passion and Longing (108)
0
0
1
2.7K
3 / 26: nazar
usoolon pe jahaan aanch aaye
Takraana zaroori hai
jo zinda hun to phir
zinda nazar aana zaroori hai
if principles are under attack
it is necessary to fight back
if i am alive
i must act so
heat, flame, scorch
fight
necessary, essential
perspective, sight
Theme: Life, Living & Dying (117)
0
0
0
2.3K
4 / 26: nazar
zamane mein aaye hai to
jeene ka hunar rakhna
dushmanon se koi khatra nahi
bas apne par nazar rakhna
having arrived in this world
figure out the art of living
there is no danger from enemies
just keep a watch on your dear ones
Theme: Friends, Family & Community (120)
1
0
9
3.3K
5 / 26: nazar
mere rashk-e-qamar tu ne pehli nazar
jab nazar se milaayi…maza aa gaya
barq si gir gayi kaam hi kar gayi
aag aisi lagaayi…maza aa gaya
oh my envy-of-the-moon…when our
eyes met the first time…’twas thrilling
lightning came down and did its job
it lit a fire such that…’twas so thrilling
Theme: Beauty, Charm & Union (98)
0
0
0
2.7K
6 / 26: nazar
le de ke apne paas
faqat ek nazar toh hai
kyun dekhen zindagi ko
kisi ki nazar se hum
all we have
is a viewpoint
why should we see life
from anyone else’s perspective
Theme: Hopes, Aspirations & Dreams (36)
1
0
2
4.9K
7 / 26: nazar
fareb-e-nazar hai
sukoon-o-sabaat
taDapta hai
har zarra-e-kayenaat
this peace and permanence
are but a deception and illusion
every atom of the universe
is endlessly pulsating (for change)
0
0
1
2.2K
8 / 26: nazar
ye sochna ghalat hai ke
tum par nazar naheen
masroof hum bahut hain
magar bekhabar naheen
it is wrong to assume
i am not paying attention to you
i am quite busy, but yet
i am not unaware
0
0
1
41
9 / 26: nazar
muskuraye baghair bhi
vo hont
nazar aate hain
muskuraye huye
even without a smile
those lips
seem to be smiling
all the while
Theme: Beauty, Charm & Union (98)
1
0
0
2.9K
10 / 26: nazar
baat teri
suni naheen main ne
dhyaan mera
teri nazar par tha
what you said
i didn’t hear
my attention was
on your eyes
Theme: Voice, Expression & Language (69)
0
0
0
4.9K
11 / 26: nazar
hum ne paala muddaton pahlu mein
hum koyi nahin
tum ne dekha ek nazar se
dil tumhaara ho gaya
though i nurtured for ages
i wasn’t worth much
you gave it just a glance
and it became yours
Theme: Beauty, Charm & Union (98)
0
0
0
3.8K
12 / 26: nazar
vo ek aks ki pal bhar
nazar mein Thehra tha
tamaam umr ka ab
silsila hai mere liye
that one reflection flashed
in my sight for just a moment
now for my entire life
it is a saga for me
0
0
0
3.3K
13 / 26: nazar
bahut qareeb hai 'muztar'
woh zindagi ka nizaam
nazar na aayega jab
koi bismil-o-qaatil
it is very near, muztar,
that system and order of life
when you will not see
any murderers or victims
0
0
2
4.2K
14 / 26: nazar
kaun si baat hai
jo tujh mein nahin
tujh ko dekhe
mere nazar se koyi
what is it
that is lacking in you
someone ought to see
you with my eyes
perspective, sight
Theme: Beauty, Charm & Union (98)
0
0
0
2.7K
15 / 26: nazar
main baagh mein huun
talib-e-deedar kisi ka
gul par hai nazar
dhyaan mein rukhsar kisi ka
i am in the garden
longing for someone's sight
my gaze is on the flower
but someone's face in my focus
0
0
1
100
16 / 26: nazar
phir nazar me phool mehke
dil me phir shamein jalen
phir tasavvur ne liya
us bazm me jaane ka naam
flowers bloomed in sight again
and, again, my heart lit up
when i imagined again
going to the joyful gathering
1
0
2
3.7K
17 / 26: nazar
daregh chashm-e-karam se
na rakh ki aye zaalim
kare hai dil ko mere
teri yak nazar mahzooz
don't me miserly with your
merciful gaze, o cruel one
just one glance from you
brings joy to my heart
0
0
1
46
18 / 26: nazar
tahqeeq ki nazar se
aakhir koon ham ne dekha
aksar hain maal waale
kum hain kamaal waale
after deep scrutiny
we discovered this truth
there are many with wealth
but few with true excellence
0
0
0
5
19 / 26: nazar
shiddat-e-tishnagi mein bhi
ghairat-e-maikashi rahi
us ne jo pher li nazar
main ne bhi jaam rakh diya
even in the intensity of thirst
my dignity of drinking remained
when she turned her face away
i too put down my cup
1
0
0
3.5K
20 / 26: nazar
milte hi nazar
dil ko milaayaa naheen jaata
aaghaaz ko
anjaam banaayaa naheen jaata
soon as the eyes meet
the hearts can't unite
beginnings can't be
forced into endings right away
Theme: Beauty, Charm & Union (98)
0
0
0
16
21 / 26: nazar
nazar mein duur talak
raahguzar zaroori hai
kisi bhi samt ho
lekin safar zaroori hai
it is important to have a path
that stretches far in sight
no matter which direction
the journey is a must
0
0
0
4.4K
22 / 26: nazar
kabhi duniya ke andar
kuchh nazar aata naheen mujh ko
kabhi apne hi andar
ek duniya dekh leti huun
sometimes, i see nothing
in the world
sometimes, i see a whole world
within myself
Theme: Creativity, Philosophy & Enlightenment (36)
0
0
0
16
23 / 26: nazar
jab se mein chala huun
meri manzil pe nazar hai
aankhon ne meri
meel ka patthar nahi dekha
from the time i started walking
my sights were fixed on the goal
my eyes didn’t notice
the milestones along the way
Theme: Quest, Journey & Destination (50)
0
0
0
4.7K
24 / 26: nazar
muflisi aur yeh mazaahir hain
nazar ke saamne
saikDon sultan-e-jaabir hain
nazar ke saamne
poverty, these scenes of destitution
right in front of my eyes
countless emperors of tyranny
right in front of my eyes
0
0
0
57
25 / 26: nazar
kabhi yuun bhi aa meri aankh mein
ki meri nazar ko khabar na ho
mujhe ek raat nawaaz de
magar is ke baad sahar na ho
sometimes, come to my eyes
without my sight knowing
grant me the favor of one night
that doesn’t have a dawn
Theme: Beauty, Charm & Union (98)
2
0
1
2.6K
26 / 26: nazar
koyi ummeed bar nahi aati
koyi soorat nazar nahi aati
maut ka ek din muayyin hai
neend kyun raat bhar nahi aati
no hope comes to pass
no face seen anywhere
death has a fixed day to arrive
why then doesn't sleep come all night
1
0
0
1.8K
424 Shaayars
Urdu Poetry, Simply Told
classic Urdu shers with simple translations, poetic insights, and mini-dictionaries for every poetry lover...
A heartfelt collection of Classic Urdu shers...
Alfaaz Ki Mehfil is a curated space for timeless poetry celebrating words, emotions, and the enduring beauty of expression. From classic Urdu couplets to modern reflections, it brings together generations of poetic voices that speak of love, longing, hope, and the human soul.
Quick Links